Monday 9 October 2017

The Union (Articles 112-117) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 112-117)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab II.—Qaumi Majlis
Chapter II.—Parliament


Maaliyaati Ma’amlaat ka tariqa
Procedure in Financial Matters


112. Saalaana Maaliyaati Tafsiil.—
Annual financial statement.—

112(1). Sadar e Jamhuriya har maaliyaati saal ke mutalliq Qaumi Majlis ke dono Aewaan ke saamne ek tafsiil rakhwaaenge jisme Hukumat e Hind ke oos saal ke mutawaqqa hasuul aur ikhraajaat honge, is Hisse me oose “Saalaana Maaliyaati Tafsiil” kaha jaayega.
The President shall in respect of every financial year cause to be laid before both the Houses of Parliament a statement of the estimated receipts and expenditure of the Government of India for that year, in this Part referred to as the "annual financial statement''.

112(2). Saalaana Maaliyaati Tafsiil me shaamil ikhraajaat me darje zeel ma’amlaat ke ikhraajaat ke takhmiine alaahida tarz par waazae kiye jaayenge—
The estimates of expenditure embodied in the annual financial statement shall show separately—

112(2a). jin ikhraajaat ki wazaahat is Aain ke zariye you ki gayi hae ke unki adaayegi Hind ke Majmui Khazaane se ki jaayegi oon ikhraajaat ki adaayegi ke liye jo raqam hogi oosko; aur
the sums required to meet expenditure described by this Constitution as expenditure charged upon the Consolidated Fund of India; and

112(2b). jin digar ikhraajaat ki adaayegi ko Hind ke Majmui Khazaane se kiye jaane ka iraada kiya gaya hae oon ikhraajaat ki adaayegi ke liye jo raqam hogi oosko, aur aamdani ke khaate me in ikhraajaat ko digar ikhraajaat se alaahida rakha jaayega.
the sums required to meet other expenditure proposed to be made from the Consolidated Fund of India, and shall distinguish expenditure on revenue account from other expenditure.

112(3). Darje zeel ikhraajaat wo honge jinki adaayegi Hind ke Majmui Khazaane se ki jaayegi—
The following expenditure shall be expenditure charged on the Consolidated Fund of India—

112(3a). Sadar e Jamhuriya ke munaafe aur tankhwaah aur onke daftar ke digar ikhraajaat;
the emoluments and allowances of the President and other expenditure relating to his office;

112(3b). Shura e Riyaasaat ke Amiir aur Naeeb Amiir aur Aewaan e Awaam ke Mukallim aur Naaeb Mukallim inki ujrat aur tankhwaah;
the salaries and allowances of the Chairman and the Deputy Chairman of the Council of States and the Speaker and the Deputy Speaker of the House of the People;

112(3c). wo karz jiski zimmedaar Hukumat e Hind hae oon karz ki suud samet adaayegi ki raqam, sikudte khazaane ki adaayegi ki raqam aur karz se nijaat ki raqam, aur karz lene aur karz se mutalliq khidmat aur nijaat ki raqam;
debt charges for which the Government of India is liable including interest, sinking fund charges and redemption charges, and other expenditure relating to the raising of loans and the service and redemption of debt;

112(3d-i). Adaalat e Uzma ke qazaat ke mutalliq ya oonko ada karda ujrat, tankhwaah aur wazaaif;
the salaries, allowances and pensions payable to or in respect of Judges of the Supreme Court;

112(3d-ii). Wafaaqi Adaalat ke qazaat ke mutalliq ya oonko ada karda wazaaif;
the pensions payable to or in respect of Judges of the Federal Court;

112(3d-iii). aesi kisi bhi Adaalate Aalia ke qazaat ke mutalliq ya oonko ada karda wazaaif, jis Adaalat e Aalia ke daaerae kaar me aesa koi ilaaqa hae jo Sarzamiin e Hind me shaamil hae ya jis ke daaerae kaar me is Aain ke naafez hone ke qabl Mumlikat e Hind ke kisi Naazim ke Sube ka koi ilaaqa tha;
the pensions payable to or in respect of Judges of any High Court which exercises jurisdiction in relation to any area included in the territory of India or which at any time before the commencement of this Constitution exercised jurisdiction in relation to any area included in a Governor's Province of the Dominion of India;

112(3e). Hind ke Qaumi Naazim o Muhaasib ke mutalliq ya oonko karda ujrat, tankhwaah aur waziifa;
the salary, allowances and pension payable to or in respect of the Comptroller and Auditor-General of India;

112(3f). kisi adaalat ya kisi saalisi daad-gaah ke kisi mumakkal faesle, aarzi faesle ya daad-gaah ke faesle ki takmiil kiye jaane ke liye laazimi raqam;
any sums required to satisfy any judgment, decree or award of any court or arbitral tribunal;

112(3g). is Aain ke zariye ya Qaumi Majlis qaanuun ke zariye kisi digar ikhraajaat ki adaayegi ki wazaahat kar de tou ooski raqam.
any other expenditure declared by this Constitution or by Parliament by law to be so charged.

113. Takhmiinou ke mutalliq Qaumi Majlis me tariqa.—
Procedure in Parliament with respect to estimates.—

113(1). Jitne ikhraajaat ki adaayegi ki raqam Hind ke Majmui Khazaane se ada ki jaani hae oonke takhminou par Qaumi Majlis me raae shumaari nahi ki jaayegi, lekin is nukut ke kisi bhi pehlu ke ye maaene nahi hae oon takhminou par Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan me behes nahi karaayi jaa sakti.
So much of the estimates as relates to expenditure charged upon the Consolidated Fund of India shall not be submitted to the vote of Parliament, but nothing in this clause shall be construed as preventing the discussion in either House of Parliament of any of those estimates. 

113(2). Jitne digar ikhraajaat se mutalliq takhmine honge oonhe atiyaat ke mutaalbaat ki shakal me Aewaan e Awaam ke saamne rakha jaayega, aur Aewaan e Awaam ka kisi bhi mutaalbe ko raza dene ka ya raza nahi dene ka ikhteyaar hoga, ya Aewaan e Awaam ka kisi mutaalbe ko is surat me ke oos mutaalbe me jo raqam wazae ki gayi hae oose ghataya jaaye tou, oose raza dene ka ikhteyaar hoga. 
So much of the said estimates as relates to other expenditure shall be submitted in the form of demands for grants to the House of the People, and the House of the People shall have power to assent, or to refuse to assent, to any demand, or to assent to any demand subject to a reduction of the amount specified therein.

113(3). Sadar e Jamhuriya ki sifaarish ke baghaer kisi bhi atiye ka mutaalba nahi kiya jaa sakta.
No demand for a grant shall be made except on the recommendation of the President.

114. Makhsuus kiye jaane ke liye Tajwizaat.—
Appropriation Bills.—

114(1). Jab mazmoon 113 ke tehet Aewaan e Awaam atiyaat par raza mand ho jaaye tou, jald az jald darje zeel ma’amlaat me ada kiye jaane ke liye zaruri raqam ko Hind ke Majmui Khazaane me makhsuus kiye jaane ke liye ek Tajwiiz pesh ki jaayegi—
As soon as may be after the grants under article 113 have been made by the House of the People, there shall be introduced a Bill to provide for the appropriation out of the Consolidated Fund of India of all moneys required to meet—

114(1a). jin atiyaat par Aewaan e Awaam raza mand hou; aur
the grants so made by the House of the People; and

114(1b). Hind ke Majmui Khazaane se ada karda ikhraajaat lekin kisi bhi ma’amle me isse qabl Qaumi Majlis ke saamne jo tafsiil rakhi gayi ho osme waazae ki gayi raqam ko badhaaya nahi jaa sakta.
the expenditure charged on the Consolidated Fund of India but not exceeding in any case the amount shown in the statement previously laid before Parliament.

114(2). Aesi Tajwiiz me aesi tarmeem ka iraada Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan me nahi kiya jaa sakta jiske natije me aese kisi bhi atiye ki raqam ya ooski manzil me koi tabdiili ki jaaye ya Hind ke Majmui Khazaane se ada karda ikhraajaat ki raqam me koi tabdiili ki jaaye, aur wo shakhs jo is mutalliq ke koi tarmeem is nukut ke tehet ki ja sakti hae ya nahi is par sadaarat kar rahe hou tou oonka faesla hatami hoga.
No amendment shall be proposed to any such Bill in either House of Parliament which will have the effect of varying the amount or altering the destination of any grant so made or of varying the amount of any expenditure charged on the Consolidated Fund of India, and the decision of the person presiding as to whether an amendment is inadmissible under this clause shall be final.

114(3). Mazaameen 115 aur 116 ke usul ke tehet, Hind ke Majmui Khazaane se koi bhi raqam nikaali nahi jaa sakti siwaaye oos makhsuusiyat ke tehet jo is mazmoon ke usul ke mutaabiq qaanuun ke zariye manzuur ki gayi hou.
Subject to the provisions of articles 115 and 116, no money shall be withdrawn from the Consolidated Fund of India except under appropriation made by law passed in accordance with the provisions of this article.

115. Zimni, maziid ya zaaid atiyaat.—
Supplementary, additional or excess grants.—

115(1). Sadar e Jamhuriya chaahe tou—
The President shall—

115(1a). agar mazmoon 114 ke usul ke mutaabiiq qaanuun ke zariye kisi makhsuus khidmat ke kharch ke liye jo raqam maujuda maaliyaati saal ke liye mukarrar ki gayi hou wo oos saal le maqaasid ke liye na kaafi paayi jaaye ya maujuda maaliyaati saal ke dauraan zimni ya maziid ikhraajaat ki zarurat ho jaaye jo kisi aesi nayi khidmat par mubani ho jispar oos saal ke saalaana maaliyaati tafsiil me tawajjo me nahi liya gaya ho tou, ya
if the amount authorised by any law made in accordance with the provisions of article 114 to be expended for a particular service for the current financial year is found to be insufficient for the purposes of that year or when a need has arisen during the current financial year for supplementary or additional expenditure upon some new service not contemplated in the annual financial statement for that year, or

115(1b). agar kisi maaliyaati saal ki kisi khidmat ke liye oos saal jo raqam makhsuus ki gayi ho aur oosi saal oos khidmat par makhsuus raqam se zaaid raqam kharch ki jaa chuki ho tou,
if any money has been spent on any service during a financial year in excess of the amount granted for that service and for that year, 

Sadar e Jamhuriya digar ek tafsiil dono Aewaan ke saamne rakhwaaenge jisme aese ikhraajaat ki mutawaqqo raqam waazae kigayi hogi ya Aewaan e Awaam ke saamne aesi zaaid raqam ke liye mutaalba karwaaenge, jaesa bhi ma’amla ho.
cause to be laid before both the Houses of Parliament another statement showing the estimated amount of that expenditure or cause to be presented to the House of the People a demand for such excess, as the case may be.

115(2). Mazaameen 112,113 aur 114 ke usul aesi kisi bhi tafsiil aur ikhraajaat ya mutaalbe par laagu honge aur aese kisi bhi banaaye gaye qaanuun par laagu honge jo Hind ke Majmui Khazaane se aese ikhraajaat ki adaayegi ya aese kisi atiye ke mutalliq mutaalbe ke tehet raqam makhsus kiye jaane ka ikhteyaar deta ho aur ye usul inpar waese se hi laagu honge, jaese ke saalaana maaliyaati tafsiil ya oosme wazae kiye gaye ikhraajaat ya atiye ke mutaalbe aur aese ikhraajaat ya atiye ki adaayegi ke liye Hind ke Majmui Khazaane se raqam makhsus karne ka ikhteyaar dene ke liye banaaye gaye qaanuun, in tamaam par laagu hote hou.
The provisions of articles 112, 113 and 114 shall have effect in relation to any such statement and expenditure or demand and also to any law to be made authorising the appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India to meet such expenditure or the grant in respect of such demand as they have effect in relation to the annual financial statement and the expenditure mentioned therein or to a demand for a grant and the law to be made for the authorisation of appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India to meet such expenditure or grant.

116. Peshgi atiyaat, Naagahaani atiyaat aur imtiyaazi atiyaat.—
Votes on account, votes of credit and exceptional grants.—

116(1). Is baab ke kisi bhi maujuda usul ke baawajood, Aewaan e Awaam ka ikhteyaar hoga ke—
Notwithstanding anything in the foregoing provisions of this Chapter, the House of the People shall have power—

116(1a). kisi maaliyaati saal ki juzwi muddat ke mutawaqqou ikhraajaat ke liye aese peshgi atiye ki adaayegi kar sakta hou jinpar aese atiyaat ki adaayegi ke mutalliq mazmoon 113 ke mutaabiq raae shumaari ke tariqae kaar ki takmiil ruki hui ho aur mazmoon 114 ke usul ke mutaabiq oon ikhraajaat ke mutalliq qaanuun ki manzuuri ruki hui ho.
to make any grant in advance in respect of the estimated expenditure for a part of any financial year pending the completion of the procedure prescribed in article 113 for the voting of such grant and the passing of the law in accordance with the provisions of article 114 in relation to that expenditure;

116(1b). wo aese atiye ki adaayegi kar sakta hae jo kisi naagahaani zaururat se nipatne ke liye hou tab jab wo naagahaani zarurat Hind ke wasaail par asar kar rahi hou aur jab khidmat ki shiddat aur mubham sifat ki wajaah se ooske liye mutaalbe ki tafsiilaat aam tarz par saalaana maaliyaati tafsiil me waazae nahi ki jaa sakti hou;
to make a grant for meeting an unexpected demand upon the resources of India when on account of the magnitude or the indefinite character of the service the demand cannot be stated with the details ordinarily given in an annual financial statement;

116(1c). wo kisi imtiyaazi atiye ki adaayegi kar sakta hae jo kisi bhi maaliyaati saal ki maujuda khidmat ka hissa nahi ho;
to make an exceptional grant which forms no part of the current service of any financial year;

aur Qaumi Majlis ko ye ikhteyaar hoga ke wo oon maqaasid ke liye jinke liye atiyaat ko mukarrar kiya gaya ho oonke mutalliq raqam ki adaayegi ke liye Hind ke Majmui Khazaane se raqam ke hasul ko durust karaar de.
and Parliament shall have power to authorise by law the withdrawal of moneys from the Consolidated Fund of India for the purposes for which the said grants are made.

116(2). Mazaameen 113 aur 114 ke usul in par laagu honge, nukut (1) ke tehet mukarrar kiye gaye kisi atiye ke mutalliq, aur oos nukut ke tehet banaaye gaye kisi qaanuun par, ye usul in par waese hi laagu honge jaese ke ye darje zeel par laagu hote hae, saalaana maaliyaati tafsiil me waazae kiye gaye kisi ikhraajaat ke liye mukarrar kiye gaye atiye par, aur aese ikhraajaat ki adaayegi ke liye Hind ke Majumui Khazaane se makhsus ki gayi kisi raqam ke ikhteyaar par.
The provisions of articles 113 and 114 shall have effect in relation to the making of any grant under clause (1) and to any law to be made under that clause as they have effect in relation to the making of a grant with regard to any expenditure mentioned in the annual financial statement and the law to be made for the authorisation of appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of India to meet such expenditure.

117. Maaliyati Tajwiizaat ke mutalliq makhsuus usul.—
Special provisions as to financial Bills.—

117(1). Mazmoon 110 ke nukut (1) ke zere nukut (a) se (f) tak me waazae kiye gaye kisi bhi ma’amle ke mutalliq usul qaayam karne ke liye Sadar e Jamhuriya ki sifaarish ke baghaer koi Tajwiiz ki ibteda ya tarmiin ki muntaqli nahi ki jaa sakti aur aese usul ke mutalliq kisi bhi Tajwiiz ki ibteda Shura e Riyaasat me nahi ki jaa sakti: 
A Bill or amendment making provision for any of the matters specified in sub-clauses (a) to (f) of clause (1) of article 110 shall not be introduced or moved except on the recommendation of the President and a Bill making such provision shall not be introduced in the Council of States:

Shart ye hae ke is nukut ke tehet aesi kisi tarmiin ki muntaqli ke liye kisi sifaarish ki zarurat nahi hogi jo kisi zarb ko kam karne ya khatm karne ke liye usul banaane ke mutalliq ho.
Provided that no recommendation shall be required under this clause for the moving of an amendment making provision for the reduction or abolition of any tax.

117(2). Kisi bhi Tajwiiz ya tarmeen ko mehez is bina par ke wo jurmanou ya digar jurmaanou ki saza ke mutalliq usul rakhti hou ya wo ijaazat naamou ke liye ya faraaham ki hui kisi khidmat ke aewaz raqam ka mutaalba ya raqam ki adaaegi ke mutalliq usul rakhti hou, ya wo ilaaqaayi maqaasid ke liye kisi ilaaqaayi mehkame ya idaare ke zariye kisi zarb ke aaid kiye jaane ke liye, oose khatm kiye jaane ke liye, oosme kami kiye jaane ke liye ya oosko munazzim kiye jaane ke liye koi usul rakhti hae tou, oos Tajwiiz ya tarmeen ko ye nahi maana jayega ke wo zikr kiye gaye kisi ma’amlaat par usul qaayam karti hae.
A Bill or amendment shall not be deemed to make provision for any of the matters aforesaid by reason only that it provides for the imposition of fines or other pecuniary penalties, or for the demand or payment of fees for licences or fees for services rendered, or by reason that it provides for the imposition, abolition, remission, alteration or regulation of any tax by any local authority or body for local purposes.

117(3). Agar koi Tajwiiz naafez kiye jaane ke baad aur laagu kiye jaane ke baad aesi ho ke ooska asar Hind ke Maujmui Khazaane ke ikhraajaat par hoga tou aesi Tajwiiz ko Qaumi Majlis ka koi bhi Aewaan tab tak manzuur nahi kar sakta jab tak ke Sadar e Jamhuriya ne oos Aewaan ko oos Tajwiiz par ghaur o fikr karne ki sifaarish na ki ho.
A Bill which, if enacted and brought into operation, would involve expenditure from the Consolidated Fund of India shall not be passed by either House of Parliament unless the President has recommended to that House the consideration of the Bill.










No comments:

Post a Comment