Saturday 23 September 2017

The Union (Articles 77-78) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 77-78)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab I.—Amaliya
Chapter I.—The Executive 
Hukumat ke kaam ka tarze amal
Conduct of Government Business



77. Hukumat e Hind ke kaam ka tarze amal.-

Conduct of business of the Government of India.—

77(1). Ye maana jayega ke Hukumat e Hind ke taamaam amaliyaati kaarwaahi ki wazaahat Sadar e Jamhuriya ke naam par ada ki jaa rahi hae.

All executive action of the Government of India shall be expressed to be taken in the name of the President.

77(2). Sadar e Jamhuriya ke naam par banaaye gaye aur amal me laaye gaye Ahkaam-naame aur digar dastaawez ki tauseeq Sadar e Jamhuriya ke banaaye gaye qaaede* me waazae kiye gaye tariqe ke mutaabiq hogi, aur aese tauseeq shuda hukm naame ya dastaawez ki tasdeeq par is bina par sawaal nahi uthaaya jaa sakta ke wo Sadar e Jamhuriya ka banaaya gaya ya unka amal me laaya gaya hukm naama ya dastaawez nahi hae.
*(Waqt ba waqt tarmeen shuda, Jarada e Hind, Ghaer-ma’amuli, 1958, Nukta II, Hissa 3 (ii), safa 1315, ke Aelaan S. O. 2297, ba-taarikh 3 Nawambar, 1958, ko dekhiye)

Orders and other instruments made and executed in the name of the President shall be authenticated in such manner as may be specified in rule* to be made by the President, and the validity of an order or instrument which is so authenticated shall not be called in question on the ground that it is not an order or instrument made or executed by the President.
*(See Notification No. S. O. 2297, dated the 3rd November, 1958, Gazette of India, Extraordinary, 1958, Pt. II, Sec. 3 (ii), p. 1315, as amended from time to time)

77(3). Sadar e Jamhuriya Hukumat e Hind ke kaam ki ta’amiil ko mazid aasaan karne ke liye, aur aese kaam ko Wazara ke darmeyaan taqseem karne ke mutalliq qawaaid banaayenga.
The President shall make rules for the more convenient transaction of the business of the Government of India, and for the allocation among Ministers of the said business.

78. Sadar e Jamhuriya ko ma’alumaat faraaham karne ke mutalliq Wazir e Aazam ke faraaez, waghaera.—
Duties of Prime Minister as respects the furnishing of information to the President, etc.—

Ye Wazir e Aazam par farz hoga ke wo—
It shall be the duty of the Prime Minister—

78(a). Markaz ke ma’amlaat ki nizaamat, aur qaanuun-saazi ki tajwizaat ke mutalliq Wazaarat ke tamaam faeslou ki ittela Sadar e Jamhuriya ko de;
to communicate to the President all decisions of the Council of Ministers relating to the administration of the affairs of the Union and proposals for legislation;

78(b). Markaz ke ma’amlaat ki nizaamat, aur qaanuun-saazi ki tajwizaat ke mutalliq Wazaarat ke tamaam faeslou ki ittela, jinka Sadar e Jamhuriya mutaalba kare, unki ittela Sadar e Jamhuriya ko de; aur
to furnish such information relating to the administration of the affairs of the Union and proposals for legislation as the President may call for; and

78(c). Agar kisi mas’ale par kisi ek Wazir ne koi faesla kiya ho lekin uspar Wazaarat ne gaur o fikr nahi ki ho, tou agar Sadar e Jamhuriya is mutalliq mutaalba kare, tou oos mas’ale ko Wazaarat ke saamne gaur o fikr ke liye bheje.
if the President so requires, to submit for the consideration of the Council of Ministers any matter on which a decision has been taken by a Minister but which has not been considered by the Council.











No comments:

Post a Comment