Sunday 31 December 2017

The States (Articles 208-212) of India (Urdu)

Hind ki Riyaasaat (Mazaameen 208-212)



Hissa VI
Part VI



Riyaasaat
The States



Baab III.—Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis
Chapter III.—The State Legislature


Aam Tariqa
Procedure Generally


208. Tariqe ke qawaaid.—
Rules of procedure.—

208(1). Is Aain ke Usul ke tehet rehte hue, Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka koi Aewaan chaahe tou apni karwaahi ke tariqe ko munazim karne ke liye qawaaid bana sakta hae.
A House of the Legislature of a State may make rules for regulating, subject to the provisions of this Constitution, its procedure and the conduct of its business.

208(2). Jab tak nukut (1) ke tehet qawaaid nahi bana diye jaate, tab tak Riyaasati Majlis ke Mukallim, ya Riyaasati Shura ke Amiir, jaesa bhi ma’amla ho, inki qaayam ki gayi tabdilaat aur muwaafiqaat ke tehet rehte hue, is Aain ki nafaazat se fauran qabl mutalliq Sube ki Qaanuun-saaz Majlis ke mutalliq tariqe ke jo qawaaid aur oos waqt ke maujuda ahkaamaat jo laagu the wo Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke mutalliq bhi laagu rahenge.
Until rules are made under clause (1), the rules of procedure and standing orders in force immediately before the commencement of this Constitution with respect to the Legislature for the corresponding Province shall have effect in relation to the Legislature of the State subject to such modifications and adaptations as may be made therein by the Speaker of the Legislative Assembly, or the Chairman of the Legislative Council, as the case may be.

208(3). Jis Riyaasat me Riyaasati Shura ho waha Naaziim e Riyaasat chaahe tou, Riyaasati Majlis ke Mukallim aur Riyaasati Shura ke Amiir in dono ke saath mashwara karke, dono Aewaan ke darmeyaan mawaaselaat ke mutalliq qawaaid qaayam kar sakte hae.
In a State having a Legislative Council the Governor, after consultation with the Speaker of the Legislative Assembly and the Chairman of the Legislative Council, may make rules as to the procedure with respect to communications between the two Houses.

209. Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis me maaliyaati kaarwaahi ke mutalliq tariqe ka qaanuun ke zariye munazzam.—
Regulation by law of procedure in the Legislature of the State in relation to financial business.—

Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis chaahe tou, maaliyaati kaarwaahi ke mutayyin waqt par mukammal kiye jaane ke liye, Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke kisi bhi maaliyaati ma’amle ke ya Riyaasat ke Majmui Khazaane se raqam makhsus kiye jaane ki kisi bhi Tajwiiz ke tariqe ko ya inki kaarwaahi ke tarze amal ko qaanuun ke zariye munazzim kar sakti hae, aur, agar aese banaaye gaye kisi qaanuun ke kisi usul ka kisi had tak Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ke Aewaan ya kisi bhi Aewaan ke mazmoon 208 ke nukut (1) ke tehet banaaye gaye kisi qaanuun ke muwaafiq nahi ho tou ya oosi mazmoon ke nukut (2) ke tehet Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis par asar karte kisi qaanuun ya maujuda hukm ke muwaafiq nahi ho tou, zikr kiye gaye usul hi laagu rahenge.
The Legislature of a State may, for the purpose of the timely completion of financial business, regulate by law the procedure of, and the conduct of business in, the House or Houses of the Legislature of the State in relation to any financial matter or to any Bill for the appropriation of moneys out of the Consolidated Fund of the State, and, if and so far as any provision of any law so made is inconsistent with any rule made by the House or either House of the Legislature of the State under clause (1) of article 208 or with any rule or standing order having effect in relation to the Legislature of the State under clause (2) of that article, such provision shall prevail.

210. Qaanuun-saaz Majlis me istemaal ki jaane waali Zabaan.—
Language to be used in the Legislature.—

210(1). Hissa XVII ke kisi bhi pehlu ke baawajood, lekin mazmoon 348 ke tehet rehte hue, kisi Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki kaarwaahi oos Riyaasat ki sarkaari zabaan ya zabaanou me ya Hindi ya Angrezi me ki jaayegi:
Notwithstanding anything in Part XVII, but subject to the provisions of article 348, business in the Legislature of a State shall be transacted in the official language or languages of the State or in Hindi or in English:

Shart ye hae ke Riyaasati Majlis ke Mukallim ya Riyaasati Shura ke Amiir, ya koi shakhs jo inki haesiyat se maujud ho, jaesa bhi ma’amla ho, chaahe tou, kisi bhi rukn ko jo munaasib had tak zikr ki gayi kisi bhi zabaan me qalaam nahi karta sakta ho tou oose Aewaan ko ooski maadari-zabaan me khitaab karne ki ijaazat de sakte hae.
Provided that the Speaker of the Legislative Assembly or Chairman of the Legislative Council, or person acting as such, as the case may be, may permit any member who cannot adequately express himself in any of the languages aforesaid to address the House in his mother-tongue.

210(2). Jab tak Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis iske bar-aks qaanuun ke zariye koi usul nahi qaayam kare tou, is Aain ki nafaazat ke baad se pandhra saal ki muddat khatm ho jaane ke baad, is mazmoon ka asar aesa hoga jaese ke ye alfaaz “ya Angrezi me” oosme se hata diye gaye hou.
Unless the Legislature of the State by law otherwise provides, this article shall, after the expiration of a period of fifteen years from the commencement of this Constitution, have effect as if the words “or in English” were omitted therefrom:

Shart ye hae ke Himaachal Pradesh, Manipur, Meghaalaya aur Tripura Riyaasaat ki Qaanuun-saaz Majaalis ke mutalliq is nukut ka asar aesa hoga jaese ke ye alfaaz “pandhra saal” jo is nukut me darj hae, oonhe in alfaaz “pachchis saal” se mutabaadil kiya gaya ho:
Provided that in relation to the Legislatures of the States of Himachal Pradesh, Manipur, Meghalaya and Tripura this clause shall have effect as if for the words “fifteen years” occurring therein, the words “twenty-five years” were substituted:

Maziid shart ye hae ke Arunaachal Pradesh, Goa, aur Mizoram Riyaasaat ki Qaanuun-saaz Majaalis ke mutalliq is nukut ka asar aesa hoga jaese ke ye alfaaz “pandhra saal” jo is nukut me darj hae, oonhe in alfaaz “chaaliis saal” se mutabaadil kiya gaya ho:
Provided further that in relation to the Legislatures of the States of Arunachal Pradesh, Goa and Mizoram, this clause shall have effect as if for the words "fifteen years" occurring therein, the words "forty years" were substituted.

211. Qaanuun-saaz Majlis me behes par paabandi.—
Restriction on discussion in the Legislature.—

Adaalat e Uzma ya kisi Adaalat e Aaliya ke kisi Qaazi ke onke faraaez ki takmiil ke tarze amal par Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis me behes nahi karaayi jaa sakti.
No discussion shall take place in the Legislature of a State with respect to the conduct of any Judge of the Supreme Court or of a High Court in the discharge of his duties.

212. Qaanuun-saaz Majlis ki kaarwaahi ki taftiish adaalaat nahi kar sakti.—
Courts not to inquire into proceedings of the Legislature.—

212(1). Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ki kisi kaarwaahi ki sehat par kaarwaahi me kisi ilzaami be-qaaidgi ki bina par sawaal nahi oothhaaya ja sakta.
The validity of any proceedings in the Legislature of a State shall not be called in question on the ground of any alleged irregularity of procedure.

212(2). Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis ka aesa koi bhi afsar ya aesa koi bhi rukn jis par is Aain ke zariye ya iske tehet Riyaasat ki Qaanuun-saaz Majlis me karwaahi ko munazzim karne ke liye ya ooski kaarwaahi ke tarze amal ke liye, ya waha nizaam barkaraar rakhne ke liye ikhteyaar ho, tou ooska oos ikhteyaar ko istemaal ka amal kisi bhi adaalat ke daaeraye kaar me nahi ho sakta.
No officer or member of the Legislature of a State in whom powers are vested by or under this Constitution for regulating procedure or the conduct of business, or for maintaining order, in the Legislature shall be subject to the jurisdiction of any court in respect of the exercise by him of those powers.



Index to the Articles of The Constitution of India (Urdu)

Aaine Hind ke Mazaameen ki Fehrist


English To Urdu Word Glossary For The Constitution Of India

Urdu To English Word Glossary For The Constitution of India


No comments:

Post a Comment