Monday 18 September 2017

The Union (Articles 52-62) of India (Urdu)

Hind ka Markaz (Mazaameen 52-62)



Hissa V
Part V



Markaz
The Union



Baab I.—Amaliya
Chapter I.—The Executive



Sadar e Jamhuriya aur Naaeb Sadar e Jamhuriya
The President and Vice-President



52. Hind ke Sadar e Jamhuriya. —
The President of India.—

Hind ke ek Sadar e Jamhuriya honge.
There shall be a President of India.

53. Markaz ka amaliyaati ikhteyaar. —
Executive power of the Union.—

53(1). Markaz ka amaliyaati ikhteyaar Sadar e Jamhuriya ke supurd hoga aur oon ihkteyaar par amal khud ba-zaat oonke kiya jaayega ya fir oonke  naaeb afsaraan ke zariye kiya jaaye ga, aur wo amal is Aain ke mutaabiq hoga.
The executive power of the Union shall be vested in the President and shall be exercised by him either directly or through officers subordinate to him in accordance with this Constitution.

53(2). Maujuda zikr ke is usul ke aam mauzu se hate baghaer, Markaz ki Difaayi Afwaaj ka ikhteyaar e uzma Sadar e Jamhuriya ke supurd hoga aur oos ikhteyaar ka is’temaal qaanuun ke zariye mutaiyyun kiya jaayega.
Without prejudice to the generality of the foregoing provision, the supreme command of the Defence Forces of the Union shall be vested in the President and the exercise thereof shall be regulated by law.

53(3). Is mazmoon ke kisi bhi pehlu—
Nothing in this article shall—

53(3a). se ye nahi maana jaayega ke kisi bhi Riyaasat ki Sarkaar ko ya kisi digar mohkam ko kisi bhi maujuda qaanuun ke zariye ata kiya gaya kisi a’amaal ko karne ka haq Sadar e Jamhuriya ko muntaqil hoga; ya
be deemed to transfer to the President any functions conferred by any existing law on the Government of any State or other authority; or

53(3b). ke zariye Qaumi Majlis ko Sadar e Jamhuriya ke alawa kisi digar mohkam par qaanuunan a’amal nafez karne se nahi roka ja sakta.
prevent Parliament from conferring by law functions on authorities other than the President.

54. Sadar e Jamhuriya ka intekhaab.—
Election of President.—

Sadar e Jamhuriya ka intekhaab ek intekhaabi ijma ke araakeen karenge jisme shaamil honge—
The President shall be elected by the members of an electoral college consisting of—

54(a). Qaumi Majlis ke dono Aewaan ke muntakhib araakeen; aur
the elected members of both Houses of Parliament; and

54(b). Riyaasaat ki Qaanuun-Saaz Majaalis ke muntakhib araakeen. Wazaahat.—Is mazmoon me aur mazmoon 55 me, “Riyaasat” me Dehli ka Qaumi Dar ul Hukumat ka ilaaqa aur Markaz ka Ilaaqa Pondicherry bhi shaamil honge.
the elected members of the Legislative Assemblies of the States. Explanation.—In this article and in article 55, “State” includes the National Capital Territory of Delhi and the Union territory of Pondicherry.

55. Sadar e Jamhuriya ke intekhaab ka tariqa.—
Manner of election of President.—

55(1). Jis had tak mumkin hou, Sadar e Jamhuriya ke intekhaab ke dauraan mukhtalif Riyaasaat ki numaaindagi ki had yaksa hou.
As far as practicable, there shall be uniformity in the scale of representation of the different States at the election of the President.

55(2). Tamaam Riyaasaat me aapas me ek dusri Riyaasat ke darmeyaan yaksaaniyat, aur saath hi, ek saath tamaam Riyaasat ek taraf aur dusri taraf Markaz ke darmeyaan yaksaaniyat, is maqsad ko haasil karne ke liye, Qaumi Majlis ke aur har ek Riyaasat ki Majalis ke ek muntakhib rukn aese intekhaab ke dauraan kitni raae ata karne ka haq rakhta hae, iska ta’ayyun darj e zeel tariqe se hoga:—
For the purpose of securing such uniformity among the States inter se as well as parity between the States as a whole and the Union, the number of votes which each elected member of Parliament and of the Legislative Assembly of each State is entitled to cast at such election shall be determined in the following manner:—

55(2a). Riyaasat ki kul awaam ke adad ko Majlis ke tamam muntakhib araakeen ke adad se taqsiim karne ke baad jo haasil e qismat aata hae oske adad me ek hazaar ke jitne izaaf banenge, to Qaanuun-saaz Majlis ke har ek muntakhib rukn ke paas utni hi raae hogi;
every elected member of the Legislative Assembly of a State shall have as many votes as there are multiples of one thousand in the quotient obtained by dividing the population of the State by the total number of the elected members of the Assembly;

55(2b). agar, zikr kiye gaye ek hazaar ke tamaam izaaf ko haasil karne ke baad, baqaaya ke adad paanch sau se kam nahi hote hae, tab zere nukut (a) me zikr ki gayi har ek rukn ki tamaam raae ke adad me ek aur adad ka izaafa kiya jaayega;
if, after taking the said multiples of one thousand, the remainder is not less than five hundred, then the vote of each member referred to in sub-clause (a) shall be further increased by one;

55(2c). Zere nukut (a) aur (b) ke tehat Riyaasat ki Majaalis ke araakeen ko ata ki gayi tamaam raae ke kul adad ko Qaumi Majlis ke dono Aewaan ke tamaam muntakhib araakeen ke adad se taqsiim dekar, kasar agar ek-aadhe se zaaed ho tou ek maani jaaye aur digar kasar ko khaarij kar diya jaaye, is ke baad jo adad haasil hoga, tou Qaumi Majlis ke har ek muntakhib rukn ke paas utni hi raae hogi;
each elected member of either House of Parliament shall have such number of votes as may be obtained by dividing the total number of votes assigned to the members of the Legislative Assemblies of the States under sub-clauses (a) and (b) by the total number of the elected members of both Houses of Parliament, fractions exceeding one-half being counted as one and other fractions being disregarded.

55(3). Sadar e Jamhuriya ka intekhaab waahid muntaqli raae ke zariye tanaassubi numaaindagi ke nizaam ke mutaabiq hoga aur aese intekhaab ki raaye shumaari khufiya tarz par hogi.
The election of the President shall be held in accordance with the system of proportional representation by means of the single transferable vote and the voting at such election shall be by secret ballot.

Wazaahat. —Is mazmoon me, lafz “awaam” ka matlab pichhli aakhri mardam shumaari me mutayyun ki gayi awaam hogi, jiske mutalliq munaasib aakde shaae kiye jaa chuke hou:
Explanation.—In this article, the expression “population” means the population as ascertained at the last preceding census of which the relevant figures have been published:

Shart ye hae ke is Wazaahat me pichhli aakhri mardam shumaari jiske mutalliq munaasib aakde shaae kiye jaa chuke hou se muraad 1971 ki mardam shumaari maani jaayegi, tab tak jab tak ke saal 2026 ke baad jo pehli mardam shumaari hogi uske munaasib aakde shaaye nahi kar diye jaate.
Provided that the reference in this Explanation to the last preceding census of which the relevant figures have been published shall, until the relevant figures for the first census taken after the year 2026 have been published, be construed as a reference to the 1971 census.

56. Sadar e Jamhuriya ke ohde ki muddat. —
Term of office of President.—

56(1). Sadar e Jamhuriya jis taarikh se apne ohde par faaez honge us taarikh se lekar paanch saal ki muddat tak apne ohde par faaez rahenge:
The President shall hold office for a term of five years from the date on which he enters upon his office:

Lekin—
Provided that—

56(1a). Sadar e Jamhuriya chaahe tou, apne dast e khat ke tehat Naaeb Sadar e Jamhuriya ko di gayi apni tehrir ke zariye apne ohde se ist’efa de sakenge;
the President may, by writing under his hand addressed to the Vice-President, resign his office;

56(1b). Sadar e Jamhuriya ko, mazmoon 61 me zikr kiye gaye tariqe ke tehat Aain ki khilaaf-warzi ke liye, unko ohde se barkhaast kiya jaa sakta hae;
the President may, for violation of the Constitution, be removed from office by impeachment in the manner provided in article 61;

56(1c). Sadar e Jamhuriya, ape ohde ki muddat ke khatm ho jaane ke baawajood, apne ohde par faaez rahenge jab tak ke unke jaanasheen ohde par khud faaez nahi ho jaate.
the President shall, notwithstanding the expiration of his term, continue to hold office until his successor enters upon his office.

56(2). Nukut (1) ke usul ke nukut (a) ke tehat Naaeb Sadar e Jamhuriya ke naam apni kisi bhi ist’efe ki peshkash ke saath hi uski ittela unhe khud Aewaan e Awaam ke Mukallim ko deni hogi.
Any resignation addressed to the Vice-President under clause (a) of the proviso to clause (1) shall forthwith be communicated by him to the Speaker of the House of the People.

57. Maziid muntakhib hone ki qaabiliyat. —
Eligibility for re-election.—

Jo shaks maujuda Sadar e Jamhuriya ke ohde par faaez hae, ya pehle kabhi oos ohde par faaez rahe ho tou, Is Aain ke digar usul ke tehat rehte huwe, oos ohde par mazid muntakhib hone ke liye qaabil honge.
A person who holds, or who has held, office as President shall, subject to the other provisions of this Constitution, be eligible for re-election to that office.

58. Sadar e Jamhuriya ke intekhaab ki aehliyat. —
Qualifications for election as President.—

58(1). Kisi bhi shakhs Sadar e Jamhuriya ke intekhaab ke liye aehl tab’hi maana jaaye ga jab —
No person shall be eligible for election as President unless he—

58(1a). wo Hind ka shehri hoga,
is a citizen of India,

58(1b). oosne paetiis saal ki umr mukammil kar li hogi, aur
has completed the age of thirty-five years, and

58(1c). wo Aewaan e Awaam ke rukn ke intekhaab ke liye aehl hoga.
is qualified for election as a member of the House of the People.

58(2). Agar koi bhi jo Hind ki Sarkaar ya kisi bhi Riyaasat ki Sarkaar ya aesi kisi bhi Sarkaar ke ikhteyaar ke taabe kisi bhi ilaaqaayi mehkame ke tehat munaafe ke ohde par faaez ho tou wo shaks Sadar e Jamhuriya ke intekhaab ke liye naa-aehl maana jaayega.

A person shall not be eligible for election as President if he holds any office of profit under the Government of India or the Government of any State or under any local or other authority subject to the control of any of the said Governments.

Wazaahat.—Is mazmoon ke maqaasid ke liye, kisi shaks ko sirf is wajaah ke tehat munaafe ke ohde par faaez nahi maana jaayega ke ko Ittehaad ke Sadar e Jamhuriya ya Naaeb Sadar e Jamhuriya hae ya kisi Riyaasat ke Naazim e Riyaasat hae ya fir Markaz ya kisi Riyaasat me se kahi ek me wazir hae.
Explanation.—For the purposes of this article, a person shall not be deemed to hold any office of profit by reason only that he is the President or Vice-President of the Union or the Governor of any State or is a Minister either for the Union or for any State.

59. Sadar e Jamhuriya ke ohde ki sharaaet. —
Conditions of President's office.—

59(1). Sadar e Jamhuriya Qaumi Majlis ke done me se kisi bhi Aewaan ke rukn nahi ho sakte, aur kisi bhi Riyaasat ki Qaanuun-Saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ke rukn nahi ho sakte, aur agar Qaumi Majlis ke dono me se kisi bhi Aewaan ke kisi rukn ko ya kisi bhi Riyaasat ki Qaanuun-Saaz Majlis ke kisi bhi Aewaan ke kisi rukn ko Sadar e Jamhuriya muntakhib kiya jaata hae tou, ye maana jaayega ke onhone oos Aewaan jiske wo rukn the waaha se apni rukniyat ko oos taarikh ko tarq kar diya jis din wo Sadar e Jamhuriya ke ohde par faaez honge.
The President shall not be a member of either House of Parliament or of a House of the Legislature of any State, and if a member of either House of Parliament or of a House of the Legislature of any State be elected President, he shall be deemed to have vacated his seat in that House on the date on which he enters upon his office as President.

59(2). Sadar e Jamhuriya digar kisi bhi munaafe ke ohde par faaez nahi ho sakte.
The President shall not hold any other office of profit.

59(3). Sadar e Jamhuriya ka ye haq hoga ke wo kiraaye ki adaayagi ke baghaer apni tamaam Sarkaari Rihaayish ka ist’emaal kar sakte hae aur saath hi aese munaafe, tankhwaah aur imtiyaazaat ko haasil kar sakte hae jise Qaumi Majlis ne qanuun ke zariye mutayyin kiya ho, jab tak ke is mutalliq usul tayyar nahi kar diya jaate, tab tak aese munaafou, tankhwaah aur imtiyaazaat wo honge jo Dusri Fehrist me darj hae.
The President shall be entitled without payment of rent to the use of his official residences and shall be also entitled to such emoluments, allowances and privileges as may be determined by Parliament by law and, until provision in that behalf is so made, such emoluments, allowances and privileges as are specified in the Second Schedule.

59(4). Sadar e Jamhuriya ki ohde ki muddat ke dauraan unke munaafou aur tankhwaah ko kam nahi kiya jaayega.
The emoluments and allowances of the President shall not be diminished during his term of office.

60. Sadar e Jamhuriya ke Ohde ki Qubuliyat ki halaf.—
Oath or affirmation by the President.—

Har Sadar e Jamhuriya ko aur har wo shaks jo aarzi Sadar e Jamhuriya ho ya Sadar e Jamhuriya ke ikhteyaaraat ki takmiil kar rahe ho tou unhe, Hind ke Qaazi e Aazam ki maujudgi me, agar wo maujud na ho tou fir Adaalat e Uzma ke aehem-tariin Qaazi jo maujud hou to unki maujudgi me, apne ohde par faaez hone se qabl, Halaf lena ya Aehad karna hoga aur dastekhat karna hoga, is tariqe se—
Every President and every person acting as President or discharging the functions of the President shall, before entering upon his office, make and subscribe in the presence of the Chief Justice of India or, in his absence, the senior-most Judge of the Supreme Court available, an oath or affirmation in the following form, that is to say—

“Mae, A.B., ‘Khuda ki Qasam leta hu/ pukhta aehed leta hu’ ke mae mukammil imaandaari ke saath Hind ke Sadar e Jamhuriya ke ohde ko munazzim karunga (ya Hind ke Sadar e Jamhuriya ke a’amaal ki takmiil karunga), aur apni mukammil salaahiyaat ke zariye Aain aur Qaanuun ki nigeh-baani, tahhaffuz aur inki difaa karunga aur mai apne aap ko awaam e Hind ki khidmat aur bhalaayi ke liye waqf kar dunga.”.
"I, A.B., do swear in the name of God/solemnly affirm that I will faithfully execute the office of President (or discharge the functions of the President) of India and will to the best of my ability preserve, protect and defend the Constitution and the law and that I will devote myself to the service and well-being of the people of India.".

61. Sadar e Jamhuriya ko barkhaast karne ka tariqa.—
Procedure for impeachment of the President.—

61(1). Jab Sadar e Jamhuriya ko Aain ki khilaaf-warzi ke liye barkhaast karna ho tou, Qaumi Majlis ke kisi bhi Aewaan ke zariye ilzaam aaied kiya jaayega.
When a President is to be impeached for violation of the Constitution, the charge shall be preferred by either House of Parliament.

61(2). Koi bhi ilzaam tab tak ke aaed nahi kiya jaa sakta—
No such charge shall be preferred unless—

61(2a). jab tak ke ek tehriri ittela ke bheje jaane ke kam az kam chaudaah dinou baad oos Aewaan ne ek qaraaraad na pesh kar di ho, bheji gayi tehriri ittela me oos Aewaan ka qaraardaadpesh karne ka uska iraada aur saath ki uske araakeen ki kul ta’adaad ke kam az kam ek-chauthaayi araakeen ke dastakhat maujud ho, aur oos qaraardaad me ilzaam waazae kiya gaya ho, aur
the proposal to prefer such charge is contained in a resolution which has been moved after at least fourteen days' notice in writing signed by not less than one-fourth of the total number of members of the House has been given of their intention to move the resolution, and

61(2b). jab tak ke aesi qaraardaad ko wo Aewaan aksariyat ke saath manzoor naa kar de, aksariyat oos Aewaan ke araakeen ki kul ta’adaad ki do-tehaayi se kam na ho.
such resolution has been passed by a majority of not less than two-thirds of the total membership of the House.

61(3). Jab Qaumi Majlis ke kisi ek Aewaan ne ilzaam aaed kar diya ho, tou dusra Aewaan oos ilzaam ki taftiish karega ya taftiish karwaaega aur Sadar e Jamhuriya ka ye haq hoga ke wo aesi taftiish me maujud rahe aur api numaaindagi qaayam kare.
When a charge has been so preferred by either House of Parliament, the other House shall investigate the charge or cause the charge to be investigated and the President shall have the right to appear and to be represented at such investigation.

61(4). Agar wo Aewaan jo taftiish kar raha tha ya taftiish karwa raha tha taftiish ke natije me aesi qaraardaad manzur karta deta hae jisme aelaaniya taur par Sadar e Jamhuriya ke khilaaf aeed kiye gaye ilzaam ko barqaraar maana jaata hae tou aesi qaraardaad ke natije me Sadar e Jamhuriya ko oos tarikh se barkhaast maana jaayega jis taarikh ko wo qaraardaad manzur ki gayi hou. Qaraardaad ki manzuri ke liye aesi aksariyat laazim hogi jo oos Aewaan ke araakeen ki kul ta’adaad ke kam az kam do-tihaayi ho.
If as a result of the investigation a resolution is passed by a majority of not less than two-thirds of the total membership of the House by which the charge was investigated or caused to be investigated, declaring that the charge preferred against the President has been sustained, such resolution shall have the effect of removing the President from his office as from the date on which the resolution is so passed.

62. Sadar e Jamhuriya ke ohde ke khaali maqaam ko bharne ke liye intekhaab karaane ka waqt aur jis shaks ko oos khaali maqaam ko bharne ke liye muntakhib kiya jaaye tou onke ohde ki muddat. —
Time of holding election to fill vacancy in the office of President and the term of office of person elected to fill casual vacancy.—

62(1). Sadar e Jamhuriya ke ohde ki muddat khatm hone se qabl hi oos khaali hone waale maqaam ko bharne ke liye intekhaab kara liye jaaye.
An election to fill a vacancy caused by the expiration of the term of office of President shall be completed before the expiration of the term.

62(2). Sadar e Jamhuriya ke ohde ka maqaam maut, istefe ya barkhaastgi, ya kisi digar wajaah se khaali hua ho tou maqaam khaali hone ki taarikh se jald az jald khaali maqaam ko bharne ke liye intekhaab karaaye jaaye, aur har haalat me intekhaab maqaam khaali hone ki taarikh se chhe mahine ki muddat se qabl hou; aur jis shaks ko khaali maqaam bharne ke liye muntakhib kiya gaya hou, tou mazmoon 56 ke usul ke mutaabiq, oonka ye haq hoga ke jis taarikh se wo ohde par faaez huwe hou tou oos taarikh se mukammil paanch saal ki muddat tak oos ohde par faaez rahe.
An election to fill a vacancy in the office of President occurring by reason of his death, resignation or removal, or otherwise shall be held as soon as possible after, and in no case later than six months from, the date of occurrence of the vacancy; and the person elected to fill the vacancy shall, subject to the provisions of article 56, be entitled to hold office for the full term of five years from the date on which he enters upon his office.



Aain e Hind ki Dusri Fehrist 











No comments:

Post a Comment