Thursday 24 August 2017

Fundamental Rights (Articles 31A-31D) in India (Urdu)

Buniyaadi Haquq e Hind (Mazaameen 31A-31D) 



Hissa III 
Part III



Buniyaadi Haquq 
Fundamental Rights



Ba’az Qawaanin ka tahaffuz
Saving of Certain Laws



31A. Jaaedaad ke husul waghaera faraaham karaate huwe qawaanin ka tahhaffuz
Saving of laws providing for acquisition of estates, etc

31A(1). Mazmoon 13 ke kisi bhi pehlu ke hone ke baawajud, koi bhi qaanun in mutalliq-
notwithstanding anything contained in article 13, no law providing for—

31A(1a). Sarkaar ka kisi jaaedaad ya ooske kisi haq ka khud haasil kar lena ya aese kisi haquq ko khatm ya tabdil karna, ya
the acquisition by the State of any estate or of any rights therein or the extinguishment or modification of any such rights, or

31A(1b). awaami maqsad ya kisi milkiyat ke munaasib intezaam ke ta’aiyyun ke khaatir Sarkaar ka kisi milkiyat ko makhsus muddat ke liye khud haasil kar lena, ya
the taking over of the management of any property by the State for a limited period either in the public interest or in order to secure the proper management of the property, or

31A(1c). awaami maqsad ya kisi shirkat ke munaasib intezaam ke ta’aiyyun ke khaatir do ya zyada shirkaat ko mila dene, ya
the amalgamation of two or more corporations either in the public interest or in order to secure the proper management of any of the corporations, or

31A(1d). shirkaat ke intezaami aamilou, nawaaib aur khazaanchiou, intezaami umara, umara ya naazimou ke kisi haquq, ya uske saahamdaaran ke kisi haquq e raae shumaari ko khatm karna ya usme tabdili karna, ya
the extinguishment or modification of any rights of managing agents, secretaries and treasurers, managing directors, directors or managers of corporations, or of any voting rights of shareholders thereof, or

31A(1e). kisi maadaniyaat ya maadaniyaati tel ko talaash karne ya haasil kar lene ke maqsad ke tehat kisi mu’aahide, ijaare ya ijaazat ki bina par haasil hue kisi bhi haquq ko khatm karne ya tabdili karne ke, ya aese mu’aahide, ijaare ya ijaazat ko miaad ke pehle khatm ya mansukh karna,
the extinguishment or modification of any rights accruing by virtue of any agreement, lease or licence for the purpose of searching for, or winning, any mineral or mineral oil, or the premature termination or cancellation of any such agreement, lease or licence,

bina par zaaya nahi maana jayega ke wo mazmoom 14 ya mazmoon 19 se ata huwe kisi bhi haquq ke muwaafiq nahi hae, ya oose khatam karta hae ya osme kami karta hae:
shall be deemed to be void on the ground that it is inconsistent with, or takes away or abridges any of the rights conferred by article 14 or article 19:

Is mazmoon ke pehlu aese kisi qaanun, jise kisi Riyaasat ke Majlis ne qaanun banaaya hoga, us par tab tak laagu nahi honge, jab tak ke aese kisi qaanun ko Sadar e Jamhuriya ki madde nazar ke liye makhsus na kar diya gaya ho, aur unki raza haasil ho gayi ho:
Provided that where such law is a law made by the Legislature of a State, the provisions of this article shall not apply thereto unless such law, having been reserved for the consideration of the President, has received his assent:

Ye bhi ke, jaha bhi koi qaanun Sarkaar ke kisi zamin ko haasil karne ka koi mauzu banaata hae, aur jaha bhi aesi zamin kisi shaks ke niji qabze me hou, jiski uspar kisi maujuda qaanun ke tehat upari hadd laagu hoti hou, Sarkaar ka aesi zamin ke kisi hisse ya uspar bani koi imaarat ya banaawat ya usse judi kisi chiz ko haasil karna ghaer qaanuni hoga, jab tak ke aesi zamin, imaarat ya banaawat ko haasil karne ke mutalliq qaanun uske mu’aawaze ki adaayegi ki miqdaar tae naa kar de, jo uski baazaar ki qimat se kam na hou.
Provided further that where any law makes any provision for the acquisition by the State of any estate and where any land comprised therein is held by a person under his personal cultivation, it shall not be lawful for the State to acquire any portion of such land as is within the ceiling limit applicable to him under any law for the time being in force or any building or structure standing thereon or appurtenant thereto, unless the law relating to the acquisition of such land, building or structure, provides for payment of compensation at a rate which shall not be less than the market value thereof.

31A(2). Is mazmoom me,-
In this article,—

31A(2a). Kisi khaas ilaaqe ke ta’alluq se, ‘’zamin’’ ke ma’ane, iske lafzi ma’ane honge ya us ilaaqe me aayid zamini muddat ke mutalliq maujuda qaanun me iska ilaaqaai hum matlab hoga aur ye bhi shumaar honge-
the expression “estate” shall, in relation to any local area, have the same meaning as that expression or its local equivalent has in the existing law relating to land tenures in force in that area and shall also include—

31A(2a-i). koi jaagir, inaam ya muaafi ya in jaesa digar atiya aur Tamil Nadu aur Kerala Riyaasaat me, koi janmam haq;
any jagir, inam or muafi or other similar grant and in the States of Tamil Nadu and Kerala, any janmam right;

31A(2a-ii) raiyyatwaari mu’aahide ke tehat taabe koi zamin;
any land held under ryotwari settlement;

31A(2a-iii) zara’at ke maqsad ke tehat taabe ya kiraaye par di gayi koi zamin ya osse mansub kisi maqsad ke tehat, jisme zaaya zamin, jangal ki zamin, chaara-gaah bhi shaamil hae aur aesi imaaraat ke maqaam aur digar banaawat jo zamin ke kisaan, zara’ati mazdoor aur gaauo ke kaarigarou ke qabze ho;
any land held or let for purposes of agriculture or for purposes ancillary thereto, including waste land, forest land, land for pasture or sites of buildings and other structures occupied by cultivators of land, agricultural labourers and village artisans;

31A(2b) kisi zamin ke mutalliq, ‘’haquq’’ ke ma’ane me aese haquq shaamil honge jo kisi maalik, naaeb e maalik, zere maalik, muddat daar, raiyyat, zere raiyyat ya digar bichaoliye ko haasil honge aur jo zamiin ki aamdani ke mutalliq kaese bhi haquq ya imtiyaazi haquq honge.
the expression “rights”, in relation to an estate, shall include any rights vesting in a proprietor, subproprietor, under-proprietor, tenure-holder, raiyat, under-raiyat or other intermediary and any rights or privileges in respect of land revenue.

31B. Ba’az Qawaaniin aur Nizaam ki tauseeq. –
Validation of certain Acts and Regulations.—

Mazmoon 31A ke tehet usul ki amuumiyat ke sath kisi kism ka ta’assub kiye baghaer, is bina pe ke ye Qaanuun, Nizaam ya usul, is Hisse ke kisi usul ke zariye ata kiye gaye kisi haq ke mukhaalif hae, ya unhe khatm karte hae ya unme kasar karte hae, navvi fehrist me darj kiye gaye kisi bhi Qaanuun aur Nizaam, ya unke tehet kisi bhi usul, inko radd nahi maana jayega, aur kisi adaalat ya daad-gaah ke in waazae kiye gaye Qaanuun aur Nizaam ke khilaaf kisi mukammil faesle, aarzi faesle ya hukm ke bawajuud, is shart ke saath ke koi us laayak Majlis apne ikhteyaar ke zariye unhe mansuukh ya tabdil na karde, tab tak raaij rahenge.
Without prejudice to the generality of the provisions contained in article 31A, none of the Acts and Regulations specified in the Ninth Schedule nor any of the provisions thereof shall be deemed to be void, or ever to have become void, on the ground that such Act, Regulation or provision is inconsistent with, or takes away or abridges any of the rights conferred by, any provisions of this Part, and notwithstanding any judgment, decree or order of any court or Tribunal to the contrary, each of the said Acts and Regulations shall, subject to the power of any competent Legislature to repeal or amend it, continue in force.

31C. Ba’az qawaaniin ka tahhaffuz jo Rahnumaayi Usul ko amal me laate hae.-
31C. Saving of laws giving effect to certain directive principles.— 

Mazmoon 13 ke maabaen kisi bhi chiz ke hone ke baawajuud, kisi bhi qaanuun ko jo Sarkaar ke is mutalliq ke wo Hisse IV me darj tamaam ya kisi usul ka tahaffuz kare is mansube ko amal me laata hae is bina par radd nahi maana jayega ke wo khatam ya kasar karta hai kisi bhi haquq ko jo mazmoon 14 ya mazmoon 19 ne ata kiya hae; aur koi bhi qaanuun jo ye waazae karta hae ke wo aese mansube ko amal me lane ke liye hae oos par is bina par ke wo aese mansube ko amal me nahi lata hae kisi bhi adaalat me sawaaliya nishaan khada nahi kiya jaa sakta: is Shart ke saath ke jab aesa qaanuun kisi Riyaasat ki Majlis ne banaaya hae, is mazmoon ke usul oos par laagu nahi honge hatta ke, oose Sadar e Jamhuriya ki madde nazar ke liye makhsus kiya gaya ho, aur unki razaa haasil ho gayi ho.
Notwithstanding anything contained in article 13, no law giving effect to the policy of the State towards securing all or any of the principles laid down in Part IV shall be deemed to be void on the ground that it is inconsistent with, or takes away or abridges any of the rights conferred by article 14 or article 19; and no law containing a declaration that it is for giving effect to such policy shall be called in question in any court on the ground that it does not give effect to such policy: Provided that where such law is made by the Legislature of a State, the provisions of this article shall not apply thereto unless such law, having been reserved for the consideration of the President, has received his assent.

31D. Mansuukh
31D. Repealed













No comments:

Post a Comment